YouTube Channel Per Subscriber Kese Bdhaye (Increase 1000%)? =〉 Hello Friends! Agar aap bhi 1 Youtuber hai to aap jab Kisi Bde Channel ko dekhte hai to unse Motivate hote hai or Aap bhi sochte hai ki kash mera bhi 1 YouTube Channel Hota jisme Hajaro-Lakho ki Value Me Subscribers hote or me bhi famous hota. Bahut se log Motivate hokar nya Channel Start kar lete hai or Kuchh din shok-shok me Daily new new video upload krte rahte hai lekin kuchh din baad jab jyada Subscribers nhi aate to wo last me niras hokar apne Channel Ko band Krne ki sochlete hai. Aaj me un YouTubers ke liye jo bdhiya Content create karte hai or Jyada Subscribers paana chahte hai unke liye helpfull tips and tricks ke saath article likh rha hu.
YouTube Par jyada Subscribers paane ke best Trike Step By Step:- Apne Channel par hmesa ek plan ke hisaab se Video upload kre. Ye ek esa trika hai jisme bahut se log fail ho jaate hai. Jis trah aap television par serials dekhte hai to aapko pta hota hai ki kis din konse Channel par konsa Serial kis time aayega. Thik usi trah aapke subscribers ko bhi pta rahna chahiye ki aap apne Channel par kis din kis time visdeo upload karte hai. Or aap sirf kisi ek particular topic par hi vides bnaye naa ki jo man me aaya wo upload kardia kyunki aapke channel ko ranking boost krane ke liye pahle YouTube inhi baato par focus karta hai ya judgement karta hai ki aapka video uploading ka koi fix schedule ya plan hai ya nhi. Or aapko apne Channel ko usi Hisaab se chlana Chahiye. (YouTube Channel Per Subscriber Kese Bdhaye)
Upload Attractive and High Quality Content:- Yadi Aap Chahte hai ji Aapke Subcribers hjaro-lakho me ho to aapko ekdum high quality and Attractive Content Video Upload krni chahiye,jinse viewers ko kaafi fayda ho, Kuchh sikhne ko Nya mile. Copy Content ya useless content upload krne Se koi fayda nhi hoga. Aapne Dekha hoga Jitne bhi bde channels hai jinke lakho subscribers hai unke Channels per Har Video useful Hoti hai. Hme Apne Channel Par Video Uploading ki frequency ko bdhana chahiye jitni jyada video hum upload karenge utna hi better result milega or Hmare subscribers utne hi jaldi bdhte chale jayenge.
Video Title, Description aur Tags ko Optimize Karna Sikhen:- Jis trah Kisi aadmi ko pehchanne ke liye Ek Naam jruri hota Hai Thik usi trah hmare Videos ko Jyada logo tak phuchane ke liye Ek Attractive Title Dena chahiye. Description Video ka whi hona chahiye to Video ka Content hai. Tags Hmari Video ke liye Sbse aham bhumika nibhata hai Jitne better tags aap use karenge utne hi better result aapko milenge. Lekin is baat ka bhi dhyaan rakhe ki Aapke Video ka Title Aapke Video ke Content ke hisaab Se ho. Kyonki agar maan lijiye Aapne Title to bahut Achha dedia lekin Video ka Content Title Se alag hai to Aapke Channel ko Koi Subscribe nhi Krega.
Attractive Video Thumbnails Ka Use Kre:- YouTube Aapko apni Videos ke liye Custom Thumbnail upload krne ka Option deta hai. To aapko is feature ka Jitna jyada ho ske utna jyada fayda Lena Chahiye. Aapko Apni Videos ke liye Ekdum attractive thumbnail Upload karna Chahiye. Thumbnail esa Ho ki Audience ko Aapke Content ka bhi thumbnail se hi pta chal jaye Ki Aapke Video ka Content kya Hai agar Thumbnail Jyada Attractive hoga to Viewers Automatic Aayenge and Unhe Content Bhi Achha Milega to Aapke Channel Ko wo jrur Subscribe Karenge. Iske alawa Aap OnScreen Annotations Ka Use krke Bhi Logon ko Apne Channel Subscribe karne ke liye Prompt request Kar sakte hai.
YouTube Channel Subscribers Bdhane ke Liye Sabse Important Baaten:- YouTube Channel Per Subscriber Kese Bdhaye is simple method ke sath. sabhi most jankari under di ja rhi hai.
- Subscribers Ko Prompt Karne Ke Liye Apni Videos me Intro And Outro Video Jrur add keen.
- Apni Old Videos ko Smay Smay Par update ya fir usi topic per updated Video Bnaye.
- Dusre Youtubers ke saath milkar Collaboration Karen Apne Channel Ke Subscribers bdhwane ke liye.
- Time Bounded Videos bnaye jese ki 3-4 Minutes ki Jyada bdi Videos boring lgti hai.
- Jyada Subscribers paane ke liye Aap Giveaway Bhi kar sakte hai but Ye Optional Hai.
YouTube Channel Per Subscriber Kese Bdhaye =〉 In Sbhi Baaton ko dhyaan me rakhkar Aap bhi Ek Successful You-tuber bn Sakte hai to Friends try jrur kijiye inko.
Note:- I hope you liked this article and If you have any Query or Question Regarding this Post you can ask me in the Below Comment Box I will solve it as soon as possible and Forget to Share it with Friends through Whatsapp, Facebook.
Thakns For Visiting Our Web Page Earticlehub.com
Nice article sir
Thanks Nitin For Visiting My Blog and Keep tuned with my blog for more updates
[…] Best App For YouTube, To Grow Youtube Channel =〉 Hello Dosto Agar Aap ek Youtuber hai ya ek Successful Youtuber Banna Chahte hai to aap is post Ko last tak jrur pdhe. Is post me Aapko Top Best App For YouTube ke […]
Nice
Thanks Vaibhav Sharma for visiting our blog
[…] YouTube Channel Per Subscriber Kese Bdhaye (Increase 1000%)? […]